Wednesday, March 29, 2006

HI This is for a friend. No its not an original original compositon, someone has written something simmilar before. Many words are mine here and many lines. A poet [ahem shld I call myself that?] can admire beauty in any form and appreciate it!

Anaron ka hijab
Ya sharmata gulab
Kamar jaise
Jhuki tehni gulnaar ki
Koyal ki mithas
Mushk ka ehsas
Lehron ki angdayiyan
Hawaon ki rawaniyan
Baharon ki shokiyan
Sharabon ki mastiyan
Ubalte doodh ki rangat
Massum pariyon ki sanagt
Danish ankhon mein chupi muskurahat
Jadon mein sardiyon ki kasmasahat
Tapti garmiyon ki khilti dhoop
Kudrat ka jadoo bhara roop
Tapti gehun ki faslaon ka sona
Taron ki kirnon mein chamkata mahtab
Malmal ki nazakat
Mukadas deen ki sharafat
Aashiqon ki deewangi
Shayaron ka khwab
Ishq ki bekhudi
Chandani rat ka TAJ
In sab cheezon ko jab milaya hoga
Tab jake dukhtare adam
Khuda ne tujhe banaya hoga


© Sanjay N

0 Comments:

Post a Comment

<< Home